na koi bunega saanso ka pul

phir se duhraya hai,
wo ho geet, gaya tha jo us din,
kise door navik ne,
naav kinarey par thi,
pathik ka intzaar raha saari raat bhar,
lekin lehron ne andolan kiya,
nav ka dhairya toota, beh gayi yuhi kisee thor,
aur navik aur liyey baitha raha kinarey par,
baadh aajati, to achha tha,
usko bhi baha le jaati,
ab na baadh aayi,
na naav hi lauti,
na kinaron ne niyat badli,
naa pathik bhoola apna raasta, aisi stithi mein koi sutra baandey to kaisey, dhagon ko wahin tanga rehne do,
wahin khunti par,
is baar na ranga jayega unko
na hi karghey par piroya jayega
na koi bunega saanso ka pul, na koi chalega aus pul par phir….

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.