likhna itna aasan kab ho paya hai,
kis janm ka karja is janm mein chukaya hai
jo bhi thi baatey unkahi
kyun jaakar biyaban mein
tumney unko aakhir
bina kahey sunaya hai
baat itni hi nahin thi, jo khmaosh reh leta main
jaaney kitney janmon ka bhoja tha,
jo kandhey par ab tak uthaya hai
atma ko koi daag na lagey bilkul
is liyey is shareer ko jinda hi dafnaya hai
tum kisee milan ka jikra ab kyu karo
is kabra par kaisey aaj
kisee sufi ki ibadat na ho
mainey apni yadon par se
pehra ab aakhir hataya hai
jisko bhi aana ho aayey yaad,
koi aksa hai jisko ab mainey mitaya hai