Aaao dekhen apney bharat ke liye ek sapna
Thoda ho tumhara, aur thoda ho wo bas apna
Thodi si ho usmey nafasat,
Thodi si ho usme shararat
Thoda sa ho usme pyaar
Aur thoda kardey wo sabko hoshiar
Aao dekhey apney bharat ke liye ek naya sapna
Dard lagey ab apney, unkey jinhoney uthayey anginat khatrey
Koi na kahey kisne izzazat di, malham kyun jakhmon pe lagaye
Thodi si ho ab halchal,
Pad jayey unkey chain me khal
Thodi si paida ho baichaini
Thodi se kam ho jaaye parehshani
Â
Aao aisa buney ek aakash, jisme ho paiband muhabbat ke anek
Koi rakhey apni uljhaney sambhal ke, aur koi de unko befikri se phenk
Zamana ho masti ka, umango ka, haath me haath dal chalney ka
Band ho jaayey chalan ab, kisi majboor ko, bina sharm chhalney ka
Aao dekhey apney bharat ke liyey ek sapna
Thoda ho tumhara, aur thoda ho wo bas apna