bikhri dhoop bahut fail gayi hai aaj,
jitna aangan dikha, saara apna liya,
kaise usko samjhata,
kaisey uskey chhor bandhta
kaise patto ko sankranti kaal mein
rang badalna sikhlata,
sab kuchh bemani sa ho gaya hai,
na kuchh apni peedha ka bodh hai,
na uske herney ki abhilasha hai,
kabhi kisee ka dard hai, kabhi kisee ki vyatha, kabhi kisee ped ke neechey, sookhi patiyon ki chaadar par letney ka man hai,
ab kisee amavasya ki bahon mein khoney ka man hai,
kahin kuchh na dikh jayey hriday ke darapan mein,
is lieye har kiran ko hidayat hai, wo is angan mein raat hi rehney dey, aaj, thodi der aur,