jao, door jao tum, ab door jao
jaana aasaan ho, islieye khub mujhko satao,
kahin pair na khinchney lagey
kahin saansey na dheeemey se chaley
unsko kisee aur uljhan mein lagao,
jao , jao, tum khub door jao
kai baar lagata hoga ki
ki shayad meri apekshayey bemani hai
lekin vishwas koi khara paani hai
jab chaha aankhon se baha diya
aur kabhi usko palko mein sama liya
is bar jao, to jao
lekin kyun bar baar yad dilatey ho
jo taheyn jam gayin hain yaddo ki kai par
unko kyun utyhato ho
dardo ko dabey rehney do
jao, unki juban se mat kuchh kehney do
jao, jao, ab door jao, jao na