tumney poochha kyun itna dard apney dil mein basata hun

tumney poochha kyun itna dard apney dil mein basata hun

kaisey bataun

kis kis ki yadon ko dil se lagata hun

kuchh hain jinhoney muh mod liya

aur kuchh hain jinhoney

itna sneha diya

ki main karjey mein doob gaya

ab intzaar mein hun

kab meri jail se chhutti ho jayey\

atma vileen ho jayey

aur mein swantara seemaon se parey vicharu

lekin phir dhyan aata hain tumhara

kaun tumharey ghuteny par tel lagayega

aur kaun tumhari chauton ko sehlayagega

aur phir main apni hi jail mein

tala lagata hun

aur chabi door phainkeney ke hidayat dekar

chaukidaar ko fuslata hun

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.