bin bandhano ke jeeney ko aatur

bin bandhano ke jeeney ko aatur
ek geet aaj bandh gaya
koi sur jo gehra tha, bheetar se ubhra tha
behney se rah gaya
chalo usee bandanwar ko phir se taangey
jisney badhaon ko roka
lekin bandhano ko na toka

One Reply to “bin bandhano ke jeeney ko aatur”

  1. main to bandh ke be aajad hun, aur aajad reh ke bhi bandha hua,
    mere bandhan mere ko aajad kyon nahi karte….
    kyon nahi yeh un daradon ko bharte….
    main en se aas hi kyon karta hoon ….
    kyon karta hoon main khud se ye aas …
    maine to bas tumse ek aas lagai thi …aur aaj bhi woh aas vaise hi lagi hai….
    mujhe apne bandhan mein bandh ke mukat kar do…..

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.