sneha ke beejon ko thoda to aur seencho
gehrey kunyey se panee ko thoda aur kheencho
kahin koi pyasa na ho, kisee ki na rahey aarjoo baaki
baanto sneha ko, jitna ho sambhav,
ab na aur apni mutthi bheencho
samaya kabhi poochey bhi to,
kehna jeevan ko khub jiya hai
jab bhi man chaha,
niyamo ko raund diya hai
nahin kisee ke bandhan ko mana
kuchh aisey they spandan,
jinko tumney na pehchana
chalo ab karlo thoda vishram
jo bhi tha, bhulo usko,
do sabhi apekshaon ko viram