ek roshni aisi bhi

ek roshni aisi bhi hai
jiska saya
mere ghar ke darwajey tak

pahunchta hai
aur dheerey se khatkhta kar
mujhey jaga jaata hai
taaki
main kahin sapney na dekh lun
sparsh ke
aur santulan bigad jaye
merey taraju ka
aur ek paat mein meri takleef aur doosari taraf
tumhari sewa
kahin bhaari na pad jayey
merey dard
kisee ke baalon mein gungth jayey
aur kisee ki khushian mere dwar bandanwar ban jayey

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.