Patwaron mein lipat kar

Patwaron mein lipat kar
Naon ka taaj pehen
Tum
Chali aayi
Lehron ke gehno se Saji
Chandani ki tashtari mein
Paros ke apney man ki mithai
Tum le aayi

Ab boondo se kaho
Palko par tumharey
Wo ghonsley swapno ke na banayey
Kahin neend se uth kar
Aaus mein bheegi hui
Ek Kiran Sooraj ki na le ley angdayi
Aur phir thodi sahmi sahmi si
Thodi hichkichaht
Kahin lab par tumharey
Na le aayey wo arthbhari rubai

Na main Kuchh Bol paun
Na tum Kuchh sun pao
Aur ek khamoshi ka angwastra
Dheerey se Utaar kar
Aankhon se lipat jayey na
Wo Ummeed se bhari tanhai

Aaao tumhey apney galey se laga lun
Kisee muskan ke baadal ko
Apni sanson mein basa lun
Phir agar toot Gaya Baandh
Aur beh Gayi hichkichaht ki CHAadar
To bhi kya main tumhari pyaas apney aaansuon se Bhar payi

Na jaaney Kab se paaley huyey ho is
Sookhi bagiya ko harey karney ka Swapn
Kya pata tum kabhi Jaan bhi paogey
Kitna dard hota jab koi aks Sheeshey mein tootata hai
Tumney kaha kya Isee liyey jindagi ab thakan ko itna sah payi

Sent from my iPad

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.