aur baaki sab kuchh ankaha hi rehney do


seemaon mein bandh kar hi to nadiya behti hai
jheel kab kisee ke dwar par thaharti hai
man na nadiya ka ho saka
na jheel ki bhanwar mein hi yeh bandha
le lo jitna ashreya is ped ki chhaya mein mil jaye
jaaney kab ghun ko iski jadon ka swad fal jayey

meri koi jyaada arzoo nahin
kisee pal ki koi yaad waris nahin

khoob udo, unchey aasmaan mein
tairo gehrey samudra mein

meri bahon ke mastool shayad fat se gaye hain
samudra ki leheron mein kuchh khwab
atak se gaye hain
kati patang ki tarah, inko atkey rehney do
palko ki jaban se thodey geet behney do
aur baaki sab kuchh ankaha hi rehney do

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.