purnata ki aahuti

bahut saarey toofano se gujar ke aaj aaya hun

kisee shikayato ke pahado se chhalang laga
kar aaj aahat hua hun

lekin bhaganey se shikayetey door nahin hoti kabhi
kisee ke jhhooth ya sach ke bhram se
kisee tarajoo ka insaaf taya nahin hota
jo bhi ho
jaisa bhi ho
mitney ki lagan se hi
baadal baras paata hai
barso
mito
ghul jao
sama jao
kisee bhi shikayat se door
kisee laanchan se door
bas ho jao
purnata ki aahuti

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.