ek aakash tumharey paas hai,

ek aakash tumharey paas hai,
ek baadal merey pass hai

kuchh muskurahatey jab idhar udhar miley,
to unko sambhal ke rakho,
kya pata, kis mein chhupi ho,
thodi sarsarahat
thodi si shararat,
aur thodi si aahat
un yadon ki jinnhey
ham bhulaney ka bahana to kartey hai,
par unkey yaad yaaney par,
bahut gehri saans ley
aanhey bhartey hai

yeh jindagi ka sach,
chhupao mat
imandaari se jiyo
kuchh gabhrao mat
sachhai se jeeny ka sukh sabko kahan milta hai
jinkey garondey ret ke hain
unhey toofano ki god
mein sir chhupaney ka sukh kahan milta hai

mainey toofano se dosti ki hai
mainey jamaney ke dastooron ko toda hai
maine dard ke sej par
apni kabra ko khoda hai
aao, aaj phir se mil kar
yeh pran kareny
jo bhi miley
uski takleef kam karey
apni takleefon ko
raaastey ki dhool samajh
hawaon ko arpan karen

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.