subah ki dheemi dhoop mein

Subah ki dheemi droop mien
Mila hai ek anishchit Ashwasan
Agar hawa ko shaq hua
Aur Kisee aandhi ko bhram hua
To phir nahin khologey Baal
Tum rahogey door wahin
Thum gaya tha kal jahan kaal
Aur neechi nighayen kar
Gujar jaaney ka palogey KHyal
Tum nahin khologey Baal

Chooney ki lab se jab koshish na ho
Kisee khwahish ki koi Manjil na ho
Aisey mien Milna phir Kahin
Shayad rahega rath wahin
Paar tum phir kar hi Lena
Kya rukega veg phir
Kis lehar ko bun kar dubara
Ghonsla Phir na banana
Door jaana Bahut door jaana
Lautney ka dhoondana mat
phir koi adhoora bahana
Door jaana door jaana

Aatmsaat kar Tumney kaha tha,
Mujhey Kahin dhuan banana
Ghul jaun sarey khwabo mien tumharey
Aisa koi tum chakra chalana
Lekin kahan tum Jeet payey
Apni ungadhi kavitaon mien Tumney
Jaaney kitney Swapn jagayey
Aaon tumhey aazad kar dun
Tumhey tumharey Pankh de dun
Ud jao jao, ab Kahin tum
Tumhey tumhara Aakash de dun
Mat bhramit ho hichkichana
Na phir kisee chattan ko
Apney aasuon se pighlana
Door jaana door jaana
Basant ke rango se tum ab
Nayi holi mañana
Nit nayey swapno ki ab tum
Aangan mien khoob paudh Lagana
Door jaana door jaana,
Jason mien is puraaney ped ki
Ab na phir paani Lagana
Door jaana door jaana

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.