Waise bhi kahan fursat tum patey ho
Har Samya kisee na kisee ki guthhi suljhatey ho
Aur phir kuchh pal yahan as bhi Jao,
To saath meri saut ke Akhbar liyey aatey ho
Chalo aaj is Baat ka faisala kar ley
Kuchh palo ki aazadi tumhari sada ke liyey har ley
Kuchh pal saath to bitao jara
Phir Batana ki khabrey apni Dunian ki Kaisi hai
Khwabon mein chain kamar par thode mukkey
Aaram ki talab aur thode irade ho pakkey
Aao ab palo ko yug banayey
Saarey gile shikwe peechey bag mein Khad ban jayey