ek shaant swar, kuchh thoda sa dar,
aisey mein tumharey aaney ki aahat
aur man mei merey prashno ki chahat
kuchh na keh paney ki hichkichahat
lekin chup sehney ki tumhari aadat
ek shant swar
aaj phir se hui hai achanak thodi ghabrahat
kya shabd jal se mukt ho payega antarghat
seemaon se paar jaati chidion ki chahchahat
sandhya dhooli se jyun ho varsha uthghatit
ek shant swar
tumhara aagrah, mere peedha bodh se trast
kisee ankahi katha sa, ek dandwa hua parast
nichuda hua sankalp, hara man, hua abhyast
kaisa abhas, kaisi nishtha, aur ek poora suryast
ek shant swar