kitney kyuen bharey yahan, aur kitney khodey
har baar tum jab isko bharti ho,
doosara kuan aur gehra ho jaata hai
kirney yugo tak in kyuon ko bharogi, bolo jara
kitney kyuon mein bharney ke lieye
mitti aur pathhar khodogi
kabhi haath mein chot lagegi
khoon bahega
aur dard hoga
aur har us dard ko mehsoos karney ke leiye
mujhey phir kuan khodna padega
tum phir bharogi
lekin har baar jo bhi naya kuan khudega
wo pehley khueny se aur gehra hoga
aur usko merey aansuon se bhar bhi dogi
to kya us kyueny ki pyas bhujegi
kyun jid karti ho
kyun meri pyas bharti ho
kyun pathharon ko tod kar
mitti khod kar
meri haar ko har deewar par
ek ishtihar ki tarah likhti ho
jaane bhi do
meri pyas ko bhujaney ki koi fikra na ho,
koi diya mat jalao
kisee mandir mein puja ab nahin hogi
kyunki bhagwan waha hai hi nahin
wo to kab ka
apney lieye bhakto ko dhundaney
is duniyan mein aa gaya hai
aur kal hi to mila tha
aur usney kaha
kisee ko kamiyon ka bharne ka ashirwad mat dena
kyunki usney mujhey aaknhon mein
chamak baantney ko behja hai
kisee ke kuyen
ko bharta jaun
aur usey majboor na hona padey
aur kyuney khodney ke lieye
sabki pyaas bhujey
uski adhoori na rahey
iseee dua ke saath
meri jid, tujhey alvida
alvida, ho ke khush ho,
kehna merey khuda,
ho poorri teri aarjoo
alvidaa meri jid, tujhey kurbaan kiya
meri pyaas ki arthi par
do diyey jala
tu jaa
ab tu jaa
jaa bhi na