Koi kinaron se na pooche kis tarah Lehro ke mizaz ko ham hain sehtey,
wo to kuchh ehsaas hain, Jinki khatir ham kuchh nahin kehtey
Tootna Nahi kehtey Lehro ke kinaron se angsparsh ko,
aaatmsaat ho Jatee hain Saari kinore Ki majbooriyan
Door kya hai aur kya hai najdeekiyan,
man ko Jo chhooley, wo hain Jaam
Jinko behosh ho, Hamne pee liya
Mat shikayat karna agar kinarey ka Sabra Lehro ka Sath na de,
kya pata todne ke iraadon se unhone kinaron ko ho Diwana kiya
Aao Chalo kuchh pal yuhin jiyey,
yaado se parey, sapno ke Bina, thoda mil Kar Kshan – madhu piye?
Aap Chalo
Kuchh taro ko tumharey Aanchal me in siyey,
aao Chalo kuchh pal yuhin jiyey
Shabdo se parey, shikwo ke Bina, Chalo mil kar kuchh saansey lein,
sambandho ki paridhi se parey,
Need pakshion ke khoob faley,
aao Chalo
Bahon mein lipat, aahon mein simit, kuchh kshano ko Chalo yuhin jiyey,
aao Chalo
Chehery se tumharey, muskano ke jharney bahey,
aao Chalo