jameen ke ek tukadey ke seeney se foot padha
suraj ka ankuraur phir kisee saye ko chain na tha
sab key sab bhagney lagey
kisee ped ki shakha ko aitbar nahin raha ki wo sayon ko pal sakegi
lekin phir suraj ko mehsoos hua,
aakhir usey bhi log andherey ki kokh se nikalney par hi namskar kartyey hain
sayon aur andheron ke bina kis tarah wo jee payega
aur phir us ankur ko sara sukha jal yaad aya
sayon ke bina sagar to jinda they par unmei pal rahi machhaliya marney ko tayyar thi
wo jee gayin