Muskurahto mein meri kyun dhundey tumney
Suman, sneha dhara mein behtey huey
Kaunsa swapn kis gantvya ki aur prerit kab se tha, bas tha
Kaise kahun, kis tehni par kaunsa ghaunsla bas basa tha, tha
Tumney kyun dhundey merei baaton mein, sahaj swaron ke arth
Kyun laga di, artho ki pabandi merey shabdo par
Ab wo stabdh se, sehme sey, khadey hain bahar
Jao dwar kholo aur dekho, kis tarah baad si aa gayi hai
Un nadiyon mein jinkey kinarey par naav dali thi tumney
inti aas se, itney apekshaon ki mitti se gadha tha ghat tumney
us ghaat par ab prateeksha kyun karo
jao, sira do merey sabhi shabd diyon ki tarah
sundar lagegi diyon ki katareyn
behti swapno ke lau le aayegi baharey
un sabhi ki aankhon mein
jinki pararthano mein sirf nistabdh aaradhana ka bodh hai
kisee abhilasha ka koi arth unhey door tak bhi chhua nahin hai
aaon unhi pararthano mein ghul jayeyen
kisee diye ki lau na ban paye
to kamse kam,
uski manjil tak janey ki lehar hi ban jaayen