ek boond se baatchit

kyun itni deri se aayi, boli wo khidaki ke peechhey se

kya tujhey nahin pata tha

ki mujh se garmi nahin bardasht nahi hoti

lekin boond to  hathi thi

jaaney kitney yugo se apni man maani karti aayi thi,

usey kiski fikra thi

ek jiddi dusri jiddi se boli

mujhey teri garmi se jyada

tapti bhumi ki chinta ha

par jitni tapegi dharti, utni hi meri yatra anischit hoti jayegi

ab usney haar kar khidaki band karni chahi

dastak de de kar boondone to uski neend mushkil kar di

ab usney khidki kholi hui hai, boondone apni dastak

ko sangeet ka roop sa de diya hai

suno

sehmo mat

mujhey apney andar aatmsaat karlo

aag aur paani ko mila lo, aur uskey baad….

bhap ban aakaash me ud jao

phir barasney ke lieye tayyar ho jao

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.