is tarah koi apna adhikar jamata nahin hai

is tarah koi apna adhikar jamata nahin hai

kisee ki majboori ko kisee diwar ki tarah apni aankhon mein uthata nahin hai,

neenv mein kuchh pathar aur dalo to yaaro,

kisee boodhi imarat ko koi sirf nayee rahon par chalney ke liyey girata nahin hai

agar tumhey waham hai, to phir koi imtihan kyun na lo

koi kisee ko fail karney ke liyey, apne swalon mein painch yun lagata nahin hai

tumhey to yakeen hai ab isliyey. koi shikayat ab kyun karey

jiskey dil mein dard na ho, wo koi geet purana yuhin gungunata nahin hai

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.