tum kamosh,
sunatey ho uski awaj
kabhi dheemi
aur kabhi bahut saaf
kah nahin patey ho, par suntey hain
samajhatey hain
aur mehsoos bhi kartey hain
ham,
tumhari jyada , lekin
uski bhi fikra nahin hai
kam,
kaisey wo samajh payega
jab badha hoga,
kya usney paya
kya khoya hoga
lekin yeh sab
bemani hai
ankhon mein aansu nahin,
wo kahega
pani hai,
aur sach bhi to hai, aakhir usko kyun
batayengey
ham,
subah ki roshni
mein kaisey chhupaya
hai har roj,
chhaya hai hridya mein jo
tam