kuchh dhyan to rakha hota

kuchh dhyan to rakha hota

jitni bhi thi galti meri,

thoda to socha hota

kya main kabhi kisee ki rah mein

koi kaantey  bota,

koi muhn pher kar,

mujhse is tarah rukhsat hota

aaj jab intzaar ki sila itna bada hai

to kisee ko kis tarah kehta,

yeh wo raat hai, jab koi nahin sota

meri tasweer par kisney aaj,

yeh raat ka kala rang pota

shayad ab kuch nahi  kehna

jisney bhi toda hai swapno ko

kaise man lu

uske dil mein koi dard nahi hota

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.