tum kahin door jao

tum kahin door jao

aur phir wapis mat aao

keh ke mujhey usney wida kiya

kisee kasam se nahin bandha

kisee apeksha ka teer nahin saadha

lekin mein aaj bhi bandha hun

un niayamon se

jinhey tumney banaya hai

koi lehar jab chahey mujhey upar uchhal sakti hai

aur jab chahey duba sakti hai

leheron key

seeney mein darad na ban jaun

is lieye samundra ne taya kiya hai

mujhey doobaney nahin diya jaayey, aur bas isee tarah

taraju ki tarah hawa se

bandh tairaney diya jayey

ek bina mastool ki naav ki tarah

khuley samundra mein

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.