sachhai ki sard hawaon se sapno ko kaissey bachayen

bahut phoolon ko dekha hai,
kabhi khiltey huey
kabhi murjhatey huey
lekin jab koi phool dandwa mein phans jaatey hain
adh khieley se, thoda muskuratey hain
koi samjhey unka matlab,
is sey pehley wo anjaan hawaon ko galey lagatey hain
tum hi batao, aisey mein kaisey kahun.
kya mainey phoolon se seekha hai
kin sapno ko apni adhuri neend se seencha hai
naya kaya hai, kya batayeyn
yadon ke beejon ko,
sachhai ki sard hawaon se

kaissey bachaheyn

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.