peedaon ki baat na karon
kehney se yeh ab ghatati nahin hain,
lekin pehley kam ho jaya karti thi
kyun, tab tum takleef deney ke baad
hans liya karte they
apni galatiyon ka jikra aaney par,
apney aap se thodi guftagu karkey
aankhey neechi kartey they
ab, na wo neechi anakhey hai
aur na nahi wo hasney ka andaaz
kuchh gehri se parchai hai,
shaam ke waqt inki lambai se
koi apni manjilo ki doori nahin napata
tum diya mat jalao
in parchhaiyon ko
yuhin badney do jab tak raat ka
andhera inko jasb hi na karley
aur tab
takleefon ko kaun dekeheyga
koi chup chap jaletey swapno ki aag par
apney haath so sekega