nahin ab mera man badal gaya hai

nahin ab mera man badal gaya hai
mera dar ab bilkul ghul  gaya hai

koi poochh raha tha kal,
kyun ab darwaja nahin band kartey
mainey kaha, kyun
kisee azaad hawa ko yuhin roka nahin kartey
jab toot gayey ho saarey matkey
tab koi pyase kuan nahin khoda kartey
apney aansuon ko peekar
bheetar hi bheetar

muskura detey hai
sari chabion ke guchheon ko phenk gehrey samdudra mein
chalo ab kahin door chaltey hain

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.