kyua udaas kavitayeyn wakai badsurat hoti hai,

kya udaas kavitayeyn wakai badsurat hoti hai,
kya khubsurti khilkhilaney ka naam hai
kya ham khubsurti har us pal mein nahin paa letey
jismey
thodi sacchai hoti hai
ya phir jindagi ka matalab hai
khyalon mein muskurana
jo na aayey najdik, usko galey se lagana
aur phir agar aankh khul jaayey
to thoda nam kauno se
aankhon ko
phir se band ho jaaney ke lieye samjhana?

—-
yeh to nashey ki goli ki mafik
nahin ho jayega
koi dil chup chaap royegea
aur koi sharad purnima par miley
kuchh kshano ke saannidhya mein
saari jindagi gujarney ki ummeed
par musukurahto ke beej boyege
chalo usee se dosti kareyn
aakhir
jinda rehney ka shauk to hai usey
tum to bina wajah
apney dardon ko ukartey ho
khud to gamgeen rehtey ho
meri aankhon par bhi badalon ka bhoja dalatey ho
mujhey kuchh kshana khula hi rehney do
bina kuchh kahey
is chandani ki
meethi meethi mahak
apney bheetar tak
jasb kar
thoda behney do

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.