jo paas tha, usko sambhala nahin
aur jo door tha, uski talash me lagi rahi
chithiya jo dar par aayi
wo rahi unpadhi
aur unlikhi chithiyon ke intzaar mein
aankhey bahut bahin
ab kyun parehsanion ko apna hamsafar banaun
kyun unko apney galey se lagaun
kyun na phir se
katey paron ke bawjud
neeley akash mein ud jaun
aur phir soorya ne najdik jaaney ke tadap mein
pighal
nibat paun