is baarish mein hawa itni tej kyun hai
khidaki ka parda sthir nahin hai
roshni bahar ja rahi hai
koi rahi ruk na jayey
is liye diyey mein tel na dalo, uski lau ko bhujney do
ab hawaon se diyey ko bhujaney ka intzaar mat karo
andhera to tumhey kabhi bhi achha nahin lagta tha
phir diye se bair kyun
utho, khidki ko band kardo
roshni ko tej kar do
bijli ke chamakney se hui roshni mein khat mat padho
kya pata kaunsio baat padho aur kisko chhod do
is khat ko itminan se padhna
ab thoda hawaon ko jasb karo
shantti se