mera kya kahun

mera kya kahun
yeh hi kaafi nahin
ki thoda hans leta hun
apni bebasi par
bina shikayat,
thoda ruk kar
ek mandir ke saamney
chandan thoda ghis leta hun
phir kiskey maathey par lagaun
kya farak padta hai
har dard ko
apni bahon mein
aur jor se
thoda jakad leta hun

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.