ek addhar hai jo mujhey tootaney nahin deta
kisee bhi museebat key ankur man mein phootaney nahin deta
ummeedon ke jangal mey jiya hun main kuchh is tarah,
aakhir koi to yakeen hai jo ek tinkey ka sahara chhootaney nahin deta
—–
tumney kai baar poochha, kyun kis dhun mein bhaga ja raha hun main
kis manjil ki talash hai jo itna khud ko gala raha hun main
kaisey batata hai ki kitna dard hai merey dil mein unkey liyey
jinkey man mein ummeed ki kiran jagata ja rahan hun main
—–
jab kabhi thak jao, lagey ki ab aagey chalney mein hai thodi mushkil
kisee kareebi se chaut lagey, aur dooriyan ban jayey teri mustakbil
aisey main meri ek baat ho sakey to, yad rakhna
kisee bhi najdeekiyon ko tohmat mat dena, gum ho jayegi warna apni manjil