Gandhi tum kaise ho
kabhi bhi mil jaatey ho
yahan, wahan aur sab jagah
kuchh kehtey ho, kuchh sehtey ho
khamoshi ke saath
jaaney kyun itna rehtey ho
gaadnhi tum kaise ho
lagta hai, heerey ki mafik
18 carat soney me bandhney ko badhya
tumharey vichar ,
mery 10-12 carat ke hathon mei
ab kaisey reh payengey
tum phir bhi yahi kehtey ho
ki gandhi sulabh hai,
gandhi sahaj hai
gadnhi saral hai
meri kamjorion se
mujhey koi shikayat nahin
tumney bhi to unko bandhanwar ki tarah
aponey dwar par latkaya tha
meri abilashao ko
apnaya tha
gandhi tum sach mein
bilkul vaise ho
jaisa mainey khamoshi ke antraal mein
tumko paya tha