ab main ansuon ko meetha kaisey banaun

jangal mein ghar bananey ka khyal
to kai baar merey man mein bhi aaya hai
lekjin haar bar
apna janglipan
jangal ke niyamo ke layak
nahin man paya
laga bahut kuchh seekh gaya hun,
shaharon mein rah kar
jahan yadon ko deewaron par to taang saktey hai
par unka jangal nahin uga saktey

ab mein apni yadon ke beej lekar nikal pada hun
kahin padti jamin mein hi sahi,
bo aunga
tum bhi dhyan dena
agar ho sakaey to do boond paani daal
dena
waisey mere paas aansu to bahut hain
lekin jab bhi mainey yadon ko unse seencha hai
wo kuchh bad kar phir murjha si jaati hain, lagta hai
khara pan unhey raas nahin aata
ab main ansuaon ko meetha kaisey banaun

baaki sab kuchh bemani hai

har roj ek kavita likhney ka wayada kiya tha,
ab nibhatey nibhatey aadat si ho gayi hai, saath
wo chalti hi kaha hai
koi rubai
koi gazal
ya phir koi muktak
sabhi to apni apni dishaon mein ugatey hai
kisko samjhaun
ek hi bagiya mein khilney ke liyey
koi nahin manta
mainey kab kisee ki baat mani hai
hamesha kaha, dard hi sach hai,
baaki sab kuchh bemani hai