jindagi gujar kahan rahi hai,
yah to thahar si gayi hai
is shahar mein
baarish kuchh kahar si padhi hai
beh gayey hai ghar kuchh,
mit gayi hai shaksiyateyn
lekin ek arzoo milney ki mitati nahin hai,
aakhir kaunsi mitti ki bani hai
kis kumhar ne ghadi hai
kahin to darar hogi,
pani ke risney ki
kabhi to pukar hogi
ghul jao jao
ghul jao
mujhey abhi yahi thaharna hai,
jindagi ki jid ke aagey thoda adna hai
kya pata kab shaam ho jayey
main thak jaun
aur raat ko yeh guman ho jayey
aaj to koi thaka hai
kisee aaram ki talaash mein jaga hai
chalo usko sula dey
thoda chain usko bhi chakha dey