Bekaaboo lehron ki bhanwar mein, kaash main ghul jaata
Thoda mitata,
Thoda pista
Thoda khud ke kareeb aa jaata
Lekin lehron ne kab kubool kiya hai meri duaon ko
Uno meri udhadi udhadi se jindagi
Se baney mastool kabhi raas nahin aayey
Unki angdayi, aur meri ruswai
Yahi ab falsafa sa ban gaya hai
Ek aakant taapoo par jeeney ka,
Chalo thodi aag sulgayeyn
Kuchh ham, kuchh wo jhulas jaayen,
Kahin kisee ko shikwa na ho
Kahin kisee ke aansoo lehro ko na uksaayey
Wo aur gussey mein, phir palat kar, tapoo k hi na dubayey
Bhool jao sabhi sharto ko
Bhool jao sabhhi deewaron ki kasmo ko
Aao, doobaney se pehley thoda mil kar muskurayey
Badlon ko aasmaan se apani bahon mein jhukayen