ashankaye kyun hai man mein
swapno ko laga grahan
toot gaya ek aalingan
sneha bhara jo amantran tha
beh gaya kahin, nahin raha wo apnapan
aisey me karo sankalp
tan ko tap, man ko shradha,
mit jayey man ke bheetar hai to tam
utho, kaho, kya hona hai,
samay de raha awahan
manjil door nahin thi phir kyun
socha ab kar ley thoda wishram
taron ki god mein dhunda, jeevan ka thoda aaram
keh do, sab hai mithya,
sach hai, bas ek hi kaam
jeevan de do unki sewa mein
jo abhi nahi pahunchey apney mukam