Ek ped bola ek chidiya se,

Ek ped bola ek chidiya se,

Tu kyun baar baar in purani shakhaon par aati
hai

 

Aakar apna ghonsala  banati
hai

Chidiya
boli,

tu to pagal hai

Teri chhaya se dil mera ghayal
hai

Ped
kahan sunta tha aisi meethi baantey

Bola,
pagal to tu hai, jo sunati nahin kuchh bhi

Itney
chhaya dar ped hain, par jaaney kyun

Inee shakhon par ghar banati
hai

Chidiya boli, sun, tujhey ek raaj ki baat batati
hun

Saara ka saara aakash

Mein apney pankhon me chhupa laati
hun

Tujhey
kabhi jarurat padey to batana

Barish
na ho, sukha pad jayey

To
mujhey bulana

Merey aanuson se apn jadon ko
phir se jilana