ma kaali tum shant mat ho

ma kaali tum shant mat ho
klant hridaya mein karuna
jaatey huey tumhara mudna
kisee pathik ka kisee pukar ka na sunana
yeh saab kya hai
prarthana hai kya terey dwar
tiraskrit hain sarey adhikar
phir bhi karuna bhara swar
terey mandir mein aaj phir goonja
kuchh yaad raha, kuchh kpi hai aaj bhoola

chalo phir se bahayey nadiya mein
sara ka sara bhram
aur karey maha prayan
tum muskurao, aur mera tootey abhiman

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.