bahut kareeb se mat deklhieye

bahut kareeb se mat deklhiey
is khat ko,
ho sakta hai bantey waqt jo
kamiya reh gayi thi kagaj mein,
wo dikh jayeyn
majmoon to padha nahin jayey
par kagaj ki timardari mein samay gujar jayey
aayieye thoda door chaley
aankhon par lagey chashmey ki dhool utarey, thoda aankhey maley,
jo dikh raha hai,
kabool nahin ho pa raha
kyun aur kamiyan nikaley
kyun khushiya dutkarey
aur ho sakey to de nazm ki aahuti
aashirwad na bhi miley
par dhueyen ki gurbat ko salam to kar ley

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.