shiv se naarajagi ki kuchh baatchit

medha ne janm diya,
man ki meemansa ko,
urwashi ne udwalit kiya,
hridaya ki aakanksha ko,
manthan bahut hua,
leheron ne palko kochhua,
vishpaan karey kaun,
is par bahut dandwa hua,
shiv ne phir yeh kaam kiya,
devo ka uthan kiya,
vidambana to dekho lekin,
murta bana vish ke wahak ko,
shakti upasak satta ne,
samvedana ke sanskaron ka aaahwan kiya,
nadiyon ka muhn mauda,
dharaon ko bandha tumney,
paschatap karo mat devo,
tumney urwashi ko kiya upekshit,
parwati ko paidaan diya,
shiv ki pooja karkey hi to,
rawan ne paayi thi shakti,
raam ne tyaga,
law kush ne bandha,
ashwa megh mein jab mili chunauti,
tiraskrit maan ke vastalya mein lipti,
tumney hi to us shraddha ka, nit nayey rup mein balidaan kiya,

( uttranchal mein likhi kavita shiv se gussa hokar

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.