boond boond kar ke bhara tha, sagar itna bada

boond boond kar ke bhara tha, sagar itna bada
kyun tumhey yeh khali laga, bolo, kyun laga

kya suraj tumharey baag mein ek naya ug aaya hai,
uski garmi ne sara mom merey dil ka pighlaya hai

jara soch kar batana, kitna bhoja dil par tha  ab tak
kis ki baat lagi thi dil par, kyun man itna aahat tha ab tak

 kya ab shaam ho chali hai jindagi ki, kisney kaha
yuhin kabhi koi takleef kam hoti nahin, mera dil bahut baha, khub baha

	

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.