uski jado mein laga hai thoda ghun kyun

tumhari nazron se maine dekha hai muhjko

chumbak ki bhati chhua hai sabko

kab kya jud gaya, kaisey bataun

kab kaun mud gaya, kisko jataun

jindagi ko aisey hi jiya hai mainey,

kuchh nahin sach mein kabhi kiya hain mainey

jo bhi hai, wo sab hua hai bas yun

mat poochho ki sakht hai darakht kyun

uski jado mein laga hai thoda ghun kyun

usney apni raakh ko pehley hi samarpit kiya hai kyun

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.