kya wo bas ek kshana hi tha (was that just a moment)


karuna ki parakashtha
wo kshana
wo sihran
wo sparsh
wo saans ki dhumil dhwani
wo chhoti si baat par tunakna
wo bahut badhi galtion ko
bhoolna
wo
chup chap
meri udwignta ko sehna
wo befikri ke saath galey lagna
wo sanjeendigi ke saath sab kuchh samjhna
shabdo ke aavaran ke bina
artho ko apney hriday mein atmsaat karna
wo sparsh
wo kshna
kya wo bas ek kshan hi tha

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.