sunao, kuchh shabd aisey

sunao kuchh shabd asiey, ki man behley
jo bhi rukey hueyen hain barso se
andar hi andar, aansoo wo bhi behley
sunao

kami to na thi kisee baat ki, phir shikayat kaisee
koi karz bhi nahin manga, to phir kifayat kaisee
jo tha, wo diya, phir kya ab, unkahi saari baat kehley
sunao

tum chup rahi, jab bhi mainey bahut se galatiyan ki
dard ko aanchal mein chhupa, apne baalon ki khushboo di
apni saaree bhoolon ki saza, chalo mil kar poori kar ley
sunao

Leave a Reply

Your email address will not be published.

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.