ek boond se baatchit

kyun itni deri se aayi, boli wo khidaki ke peechhey se

kya tujhey nahin pata tha

ki mujh se garmi nahin bardasht nahi hoti

lekin boond to  hathi thi

jaaney kitney yugo se apni man maani karti aayi thi,

usey kiski fikra thi

ek jiddi dusri jiddi se boli

mujhey teri garmi se jyada

tapti bhumi ki chinta ha

par jitni tapegi dharti, utni hi meri yatra anischit hoti jayegi

ab usney haar kar khidaki band karni chahi

dastak de de kar boondone to uski neend mushkil kar di

ab usney khidki kholi hui hai, boondone apni dastak

ko sangeet ka roop sa de diya hai

suno

sehmo mat

mujhey apney andar aatmsaat karlo

aag aur paani ko mila lo, aur uskey baad….

bhap ban aakaash me ud jao

phir barasney ke lieye tayyar ho jao

why should i wash those steps again


while going to the temple every day
i would now and then trip
over the steps
rains had let the moss grow
and since not many people came this way,

it was quite slippery
i wondered if it was a reminder of the respect
dueto the deity

in the temple
that i need to wash the steps

but then she does not accept

the offering too easily,

will she ask,

why should  i wash the steps again and again

is it to let more devotees come,
or let those who come not trip

or just to make me feel happy,

or suffer the shrap ( wish of a deadly future)



given by the mosses i removed

bahut shor mat machao

bahut shor mat machao

mujhey sona hai

lekin kal raat se itni baar tumney jagaya hai

baar baar tootey  sapno ke takiyey par sulaya hai

ab kabhi uthata hun aur kabhi sota hai

lekin neend aur jaag ke beech ki sthiti par

ab tippani kyun karun

kyun na us takiyey ko udher dun

aur ek bhram aaram ka bikher dun

kuchh shabd to kahey to hotey

kuchh shabd to kahey  hotey

kuchh kinaro ko  lehron ko saunpa hota

kis chhaor par pahunchati

yadon ko phir wo lehrey

iski chinta na ki hoti to achha tha \\

aao phir se ham in kinaron ko saanf kareyn

kuchh ret ke gharondy banayey

\kuchh todey

\aur kuchh ko saunch kar bas reheny dey

mat kaho ki main phir likhun

mat kaho ki main phir likhun
 
seemaon mein bandhu
 
aur tumse bas shabdo ke jariye 
 
apni baat kahun?
 
Yeh bhi koi bhala baat hai
Na iski koi niyati hai, 
 
Bas iski to arjoo 
 
ek raat hai

Usne poochha ki samudra ka kinara

Usne poochha ki samudra ka kinara kyun aaj bha raha hai

 

kya kehta lehro ki aad mein muhn chhupa liya
lekin lehron ne kab apni god mein
aise hi kisi ko panah di hai
kisee se chhanv li hai
kisee ko kshama di hai
ham to aaj bhi khali khali se yuhin fira kartey hai

kuchh lehrey hain

jo  hamari iss aadat se khafah huin hai

usne poochha ki samudra ka kinara kyun aaj bha raha hai

Usne poochha ki samudra ka kinara kyun aaj bha raha haikya kehta lehro ki aad mein muhn chhupa liyalekin lehron ne kab apni god meinaise hi kisi ko panah di haikisee se chhanv li haikisee ko kshama di haiham to aaj bhi khali khali se yuhin fira kartey haikuchh lehrey hainjo  hamari iss aadat se khafah huin hai

kisko yeh pata tha

kitni gehraion tak utar sakti hai hamari nanv

 

lekin usko doobaney ki aazadi to abhi tak nahin mili hai
 
ab usko aisey hi tairaney dey?
 
ya phir us par se utar key

jhil ko galey laga leny